Raahon main nazar rakhna
Raahon main nazar rakhna ,honton pay dua rakhna
aajaye koi shayad ,darwaza khula rakhna
ehsaas ki shama ko es tarha jala rakhna
apni b khabar rakhna ,us ka b pata rakhna
raaton ko bhatknay ki saza deta hai mujh ko
dushwar hai pehlu main dil teray bina rakhna
logon ki nigaahon ko parh lenay ki aadat hai
hallat ki tehreeren chehray say bacha rakhna
bhoolon main agar a dil to yaad dila dena
tanhai k lamhon ka har zakham hara rakhna
ik boonb b ashkoon ki daman na bhigo paaye
gham us ki amaanat hain palkon pay saja rakhna
es tarha `QATEEL` us say bartaao rahay apna
woh b na bura maanay dil ka b kaha rakhna
rahoon nazar rakhna honton pay dua rakhna
aa jaaye koi shayad darwaza khula rakhna
( by sudha singh)

Leave a Reply